BETIYAN.


"Oas ki bund hoti hai betiyan
Sparsh khurdra ho to roti hai betiyan
Roshan karega beta to bus 1 hi kul ko
2-2 kulon ki laaj ko dhoti hai betiyan
Koi nahi ek dusre se kam
Heera agar hai beta to sachcha moti hai betiyan
Kanton ki raah pe khud hi chalti rahengi
Auron ke liye phool boti hai betiyan
Vidhi ka vidhan hai,
Yahi duniya ki rasam hai
Mutthi bhar neer si hoti hai BETIYAN
Jinpe ho Ishwar ki aseem kripa
Unke naseeb main hoti hai BETIYAN "

Comments

Popular posts from this blog

mirror of society : समाज का आईना है "फीका लड्डू"